Tuesday 12 April 2016

Hindi Shayari

Mana mujh jaise lakhon sanam hain,
Tujh jaise duniyan mein kam hain,
E mere mehboob mujhko ye bta,
Hum bhi kya kisi se kam hain. 



Hum gum sahte-sahte ho gaye aise,
Koi bag mein fool khila ho jaise,
Ab chahe kitni hin khushiyan mile,
Ab mano dil patthar ho gya ho jaise.

E-Hawa tu unki galee se roj gujartee hogi,
Tu unke har raj ko jantee hogi,
Tu mujhko bas itna bta de,
Kab-Kab wo kya karti hogi.


Kanto ke saye mein pale hain ham,
Har asardar cheejo se chot lage hain mujhe,
Patthar bna liya hai hamne apna jigar,
Magar foolon se ab bhee chot lage hai mujhe.


Kya ab bhi chain n aaya mujhko tarpane ke bad,
Aisi kaun-see ibadat mil gayee tumko,
Mujhko barbad karne ke bad.


Magar na pighla dil unka, na samajh paee wo mere pyar ko,
Akhir kya khami thee mujhmen jo apne dil se juda rakha humko,
Khilte hai phool chaman mein, kante chubhte hain mere dil mein,
Us bewafa se pucche koi kya hai uske dil mein.

Rate katti hai ankhon mein tum basee ho meri sanson mein,
Jab khwab aata hai hamko tumhari yade tarpa jatee hai raton mein.

Humne hosh kab shambhala tha, usne to hame mar hi dala tha,
Shukr hai us khuda ka, Jisne hame waqt pe aake sambhala tha.


Ujar gayee hai duniya meree, Barbad ho gya hoon main,
Halat kucch is tarah gujre hain, jindagee bhar ke liye tanha rah gya hoon main.

Jane kyun log dga de jate hai pyar mein,
Har wafa ka khoon kar jate hai pyar mein,
Anjan ek se badkar ek hote hain,
Phir bhi kyun log jeete-marte hai pyar mein.

Hothon pe oos ki ye boond khubsoorti par char chand lgatee hai,
Sanam teri yandein har pal mujhko tarpati hain.

Hamko Sadma lga hai aisa, pal-pal nikalna par raha hai bhari,
Abhi to kucch hi lamhe gujre hain aise hi jindagi gujarni hai sari.

Main rab se yahi phariyad karoon,
Duniya badle chahe wo badle magar main na badloon,
Har gam se anjan rakhoon use ,
Aur is jahan ki har khushiyan usko doon.

Kitab ke panne ko kabhi kora na samajhna,
Ye dil hai hamara ise kabhi khilauna na samajhna.

Kis trah karoon, tumhari khoobsoorti ko mere pas koi shabd nahi,
Is Jahan mein aur bhi hansi hai magar tum jaisa aur koi nahin.


Jeetenge ham tumko mohabbat se takrar mein kya rkha hai,
Chahenge tumko umrbhar yun hi jab tak sanso mein sans baki ho,
Cchin sakega koi kya hamse meri mohabbat,
Sda tujhse mohabbat karte rahenge, jab tak jan mein jan baki hai. 


Zindagi ki uljhane hamari shararte kam kar deti hain,
Aur log samajhne lagte hain ki ham samajhdar ho gaye hai.

Sanso ka toot jana to bahut choti si bat hai dosto,
Jab apne yad karna chhor de maut to use kahte hain.

Meri khamoshiyon me bhi phasana dhoondh leti hai,
Badi shatir hai ye duniya maja lene ka,
Koi na koi bahana dhoondh leti hai duniya.


Ae dost tujhe bhul jane ka hausla na hua,
Dur rah kar bhi tu juda na hua,
tujhse milkar kisi aur se kya milte,
Koi tere jaisa dusra na hua.


Kal meri ankh main se ek ansso nikal aaya,
Main ne usse puchha to usne,
Muskura kar ye bataya,
Koi teri ankho me hai itna samaya,
Ki mai chah kar bhi apni jagah nahi bna paya.


Jam pe jam pine se kya fayda doston,
Rat ko pi hui sharab subah utar jayegi,
Are pine hain to do boond bewafa ke pikar dekh,
Sari umra nashe me gujar jayegi.

Tere milne ki aas na hoti,
To zindagi aaj udas na hoti,
Mil jati kabhi tasbir jo teri,
Toh hamko aaj teri talas na hoti
....Elizabeth...

Tere gam ko apni rooh me utar loon,
Zindagi teri chahat me swar loon,
Mulakat ho tujh se kuchh is tarah,
Tmam umar bas ek mulakat me gujar loon.

Na jane kyun najar lagi jamane ki,
ab wajah milti nahi muskurane ki,
Tumhara gussa hona to jayaj tha,
Hamari aadat chhoot gayi manane ki.


Milna itefaq tha,
Bichhadna na nasib tha,
Wo itna door ho gayi jitna wo mere karib tha,
Ham unko dekhne ke liye taras gaye,
Jiski hatheli par hamara nasib tha.


Rat hogi to chand dikhai dega,
Sapno me tujhe sirf mera saya hin dikhai dega,
Ye mohabbat jara soch ke karna,
Ek anshoo bhi gira to sunai dega.

Dosti to sirf ek istefaq hai,
Yah toh dilon ki mulakat hai,
Dosti nahi dekhti yah din hai ki rat,
Isme toh sirf wafadari aur jajbat hai.


Wo ajij bhi hai, wo nasib bhi hai,
Duniya ke bheed me wo karib bhi hai,
Jinke sath se chalti hai yah zindagi hamari,
Wo khuda bhi hai aur hamari takdir bhi hai.


Teri yad harpal kyun satati hai,
Tu yad har wakt kyun aati hai,
Dard dena hai to ek pal me de ja,
Ye tufani raate bar-bar kyun lati hai.

Tu bhi ayne ki tarah bewafa nikla,
Jo samne aya usi ka ho gya.


Jis din aap jami par aaye,
Wo asman bhi khub roya tha,
Aakhir uske aansu thamte bhi kaise,
Usne hamare liye,
Apne sabse pyara sitara jo khoya tha.

Kanto ki chubhan bhi kuchh kam ho jati hai,
Khushi mujhko gale lagati hai,
Marham ki tarah teri har ek hansi,
Ujre chaman me bhar le aati hai.

No comments: